Monday 12 May 2014

Ye Pyar Nahi To Fir Kya Hai..

Jab se pata chala ki tum mere shaher aaye ho
Ik pal bhi tumse mile bina rehna mushkil tha..
Ye pyar nahi to fir kya hai…

Bahut samjhaya dil ko..
Ki kuch pal thahar ja..
Par dil na maana..
Ye pyar nahi to fir kya hai..

Socha ek ghante mein office ka kaam khatam kar ke nikalta hun..
Par wo kursi, wo computer – or wo tumse milne ki bechaini..
Bas raha na gaya..
Ye pyar nahi to fir kya hai…

Wo tumhara meetha intezaar..
Wo dil or dimaag ki ladai..
Or fir sab bandhan tod ke besharam ho jana..
Ye pyar nahi to fir kya hai..

Wo tumhara aaj teen ghante ka intezaar bhi,
Tumse ek mulakaat ke jaisa tha..
Wo teen ghante ke baad tum na bhi milte
To koi fark nahi padna tha..
Ye pyar nahi to fir kya hai…

Pichle hafte, roz der raat tak kaam kiya..
Weekend pe bhi kaam kiya..
Or fir aaj subha onsite bola..,
“Not today. We will do this tomorrow.”
Kiski shararat..kya jaanu..? ;-)
Or fir uspe tumhare aane ki khabar..(ka surprise)..
Ye pyar nahi to fir kya hai..

Jab se tumhare aane ki khabar mili..
Poora din.., Jo karne ka socha tha, wo kiya nahi..
Or jo kiya, wo socha nahi..
Pagal sa ho gaya hun yaar..
Par, bahut khush hun..
Ye pyar nahi to fir kya hai..

Wo tumhare saamne aate hi bachon sa ban jaana..
Wo teri ik nazar..or mera fida ho jana..
Wo tere diye banana ka taste…
Wo teri maujudgi ka ehsaas..
Ye pyar nahi to fir kya hai..

E - mujhe pyaar sikhane wale…
Tujhe dher saara pyar…

Happy birthday Guruji..Love you a lot…

Tera pyar..
Parveen Kumar

2 comments: