Wednesday 2 October 2013

Anamika

Ghar se nikalte hi...
Kuch door chalte hi..
Aata tha uska ghar...

Ek hi gali...
Ek hi chauraha..
Bas, paas me hi tha uska ghar..

Ghar se office jaate hue,
kabhi kabhi, yun hi..
hum thoda lamba rasta le liya karte the..
Kyunki, us raste pe tha.. uska ghar..

Shayad kahin, sar hilate,
halke halke muskurate,
raaste me wo mil jaye,
or bole, "Aaaaaaaaa Vanilla, Mujhe office tak lift de de.."

Na wo sadak meri thi..
na wo nukkad pe bhonkne wala kutta..
par fir bhi kuch apna sa lagta tha wo rasta..
jis raste pe tha uska ghar..

Acha lagta tha kehte hue,
ki meri padosan hai..
Paas me hi tha na,
.......uska ghar...


Ab bhi wo ghar wahin hai,
wo galiyan wahin hai..
Wo kutta, ab bhi mujhe dekh ke yun hi bhonkta hai..
Par mera ek apna ab us raste pe nahi milta.


Wo muskaan, wo hasna..
wo sir hilate hue tshirt kheechna..
Yeh sab miss to karta hoga..
......Uska ghar


Gym jane ke liye roz subha uthana..
uska phone utha ke, "uth gaya" bol ke, mera phir so jana..
Late hone pe uska "dhakkan" or "maar daalungi" chillana...
PJ maarna...
HeHeHeHeHeHe kar ke hasna..

Wo magical raita..
wo La Khana ki rotiyan.
or wo - rasgulle me panthue ka jhor..


Wo Jharkhand ke jungle..
wo (jangliyon jaise :P) laal baal,
Wo nautanki wali harkatein..
Wo cuteness...
Wo pulling, istriling or Chandraling..

Or

Wo Vanilla & Strawberry..

Yeh sab miss to karega.....
Na sirf....uska ghar..
mera ghar bhi...............


Dear sis, wherever you go, spread the same cheerfulness, same cuteness and the same lightness everywhere...

May you always have this AOL style(unshakable) smile with you...forever...

May god(pun intended) bless you..
Keep in touch..

Love,
Vanilla
Jaigurudev!